maiñ bhī ai kaash kabhī mauj-e-sabā ho jā.ūñ
is tavaqqo pe ki ḳhud se bhī judā ho jā.ūñ
abr uTThe to simaT jā.ūñ tirī āñkhoñ meñ
dhuup nikle to tire sar kī ridā ho jā.ūñ
aaj kī raat ujāle mire ham-sāya haiñ
aaj kī raat jo so luuñ to nayā ho jā.ūñ
ab yahī soch liyā dil meñ ki manzil ke baġhair
ghar palaT aa.uuñ to maiñ ābla-pā ho jā.ūñ
phuul kī tarah mahaktā huuñ tirī yaad ke saath
ye alag baat ki maiñ tujh se ḳhafā ho jā.ūñ
jis ke kūche meñ baraste rahe patthar mujh par
us ke hāthoñ ke liye rañg-e-hinā ho jā.ūñ
aarzū ye hai ki taqdīs-e-hunar kī ḳhātir
tere hoñToñ pe rahūñ hamd-o-sanā ho jā.ūñ
marhala apnī parastish kā ho darpesh to maiñ
apne hī sāmne mā.il-ba-duā ho jā.ūñ
tīsha-e-vaqt batā.e ki ta.āruf ke liye
kin pahāḌoñ kī bulandī pe khaḌā ho jā.ūñ
haa.e vo log ki maiñ jin kā pujārī huuñ 'nasīr'
haa.e vo log ki maiñ jin kā ḳhudā ho jā.ūñ