Naseer Turabi

koi aawaz na aahaT na KHayal aise mein

Naseer Turabi

Hyderabad, Telangana, India

1945
koī āvāz na aahaT na ḳhayāl aise meñ
raat mahkī hai magar jī hai niDhāl aise meñ
mere atrāf to girtī huī dīvāreñ haiñ
sāya-e-umr-e-ravāñ mujh ko sambhāl aise meñ
jab bhī chaḌhte hue dariyā meñ safīna utrā
yaad aayā tire lahje kā kamāl aise meñ
aañkh khultī hai to sab ḳhvāb bikhar jaate haiñ
sochtā huuñ ki bichhā duuñ koī jaal aise meñ
muddatoñ ba.ad agar sāmne aa.e ham tum
dhuñdle dhuñdle se mileñge ḳhad-o-ḳhāl aise meñ
hijr ke phuul meñ hai dard kī baasī ḳhushbū
mausam-e-vasl koī taaza malāl aise meñ
Top Urdushayar.com