dard kī dhuup se chehre ko nikhar jaanā thā
aa.ina dekhne vaale tujhe mar jaanā thā
raah meñ aise nuqūsh-e-kaf-e-pā bhī aa.e
maiñ ne dānista jinheñ gard-e-safar jaanā thā
vahm-o-idrāk ke har moḌ pe sochā maiñ ne
tū kahāñ hai mire hamrāh agar jaanā thā
āgahī zaḳhm-e-nazāra na banī thī jab tak
maiñ ne har shaḳhs ko mahbūb-e-nazar jaanā thā
qurbateñ ret kī dīvār haiñ gir saktī haiñ
mujh ko ḳhud apne hī saa.e meñ Thahar jaanā thā
tū ki vo tez havā jis kī tamannā be-sūd
maiñ ki vo ḳhaak jise ḳhud hī bikhar jaanā thā
aañkh vīrān sahī phir bhī añdheroñ ko 'nasīr'
raushnī ban ke mire dil meñ utar jaanā thā