dekh lete haiñ ab us baam ko aate jaate
ye bhī āzār chalā jā.egā jaate jaate
dil ke sab naqsh the hāthoñ kī lakīroñ jaise
naqsh-e-pā hote to mumkin thā miTāte jaate
thī kabhī raah jo ham-rāh guzarne vaalī
ab hazar hotā hai us raah se aate jaate
shahr-e-be-mehr! kabhī ham ko bhī mohlat detā
ik diyā ham bhī kisī ruḳh se jalāte jaate
pāra-e-abr-e-gurezāñ the ki mausam apne
duur bhī rahte magar paas bhī aate jaate
har ghaḌī ek judā ġham hai judā.ī us kī
ġham kī mī.ād bhī vo le gayā jaate jaate
us ke kūche meñ bhī ho, raah se be-rāh 'nasīr'
itne aa.e the to āvāz lagāte jaate