injīl-e-raftagāñ kī hadīsoñ ke saath huuñ
īsā-nafas huuñ aur salīboñ ke saath huuñ
pāband-e-rañg-o-naqsh huuñ tasvīr kī tarah
maiñ be-hijāb apne hijāboñ ke saath huuñ
aurāq-e-ārzū pe ba-unvān-e-jāñ-kanī
maiñ be-nishāñ sī chand lakīroñ ke saath huuñ
shāyad ye intizār kī lau faisla kare
maiñ apne saath huuñ ki darīchoñ ke saath huuñ
tū fat.h-mand merā tarāshā huā sanam
maiñ but-tarāsh apnī shikastoñ ke saath huuñ
mauj-e-sabā kī zad pe sar-e-rahguzār-e-shauq
maiñ bhī 'nasīr' ghar ke charāġhoñ ke saath huuñ