sukūt-e-shām se ghabrā na jaa.e āḳhir tū
mire dayār se guzrī jo ai kiran phir tū
libās-e-jāñ meñ nahīñ sho.alagī kā rañg magar
jhulas rahā hai mire saath kyuuñ ba-zāhir tū
vafā-e-vāda-o-paimāñ kā e'tibār bhī kyā
ki maiñ to sāhab-e-īmāñ huuñ aur munkir tū
mire vajūd meñ ik be-zabāñ samundar hai
utar ke dekh safīne se merī ḳhātir tū
maiñ shāḳh-e-sabz nahīñ mahram-e-sabā bhī nahīñ
mire fareb meñ kyuuñ aa gayā hai taa.ir tū
isī ummīd pe jalte haiñ rāstoñ meñ charāġh
kabhī to lauT ke aa.egā ai musāfir tū