Anees Ahmad Anees

jo aaine se teri jalwa-samani nahin jati

Anees Ahmad Anees

Ghazipur, Uttar pradesh, India

1940
jo ā.īne se terī jalva-sāmānī nahīñ jaatī
kisī bhī dekhne vaale kī hairānī nahīñ jaatī
kabhī ik baar haule se pukārā thā mujhe tum ne
kisī kī mujh se ab āvāz pahchānī nahīñ jaatī
bharī mahfil meñ mujh se pher lī thiiñ be-sabab nazreñ
vo din aur aaj tak un kī pashemānī nahīñ jaatī
pise jaate haiñ dil har-gām pe shor-e-qayāmat se
ḳhirām-e-nāz terī fitna-sāmānī nahīñ jaatī
gavārā hī na thī jin ko judā.ī merī dam-bhar kī
unhīñ se aaj merī shakl pahchānī nahīñ jaatī
vo mere haath kā shoḳhī se jaanā un ke dāman tak
vo un kā naaz se kahnā ki nādānī nahīñ jaatī
garebāñ ahl-e-vahshat ke siyā kartā thā hosh ik din
aur ab mujh se hī merī chāk-dāmānī nahīñ jaatī
Top Urdushayar.com