nazar milte hī saaqī se girī ik barq sī dil par
vo uTThā shor TuuTe jaam ki ban aa.ī mahfil par
usī andāz se us ne likhī hai dāstāñ dil par
gale meñ pyaar se bāheñ hamā.il aur chhurī dil par
koī ik hādisa ho gar kareñ ham zikr bhī us kā
guzarte haiñ yahāñ to hādse par hādse dil par
na manzil hai na jaada hai na koī rāhbar baaqī
mirā zauq-e-safar baaqī hai ik hañgāma-e-dil par
tavāf-e-māh karnā aur ḳhalā meñ saañs lenā kyā
bharosa jab nahīñ insān ko insān ke dil par
vahī maujeñ jo mujh ko khīñch kar laa.ī haiñ tūfāñ meñ
unheñ maujoñ ke saath ik roz meñ pahuñchūñgā sāhil par
masarrat aur rāhat se na thiiñ ra.anā.iyāñ kaafī
'anīs' ehsān ġham ke bhī bahut haiñ nā-tavāñ dil par