chalo ye sach hī sahī hogā nā-gahāñ guzre
hamāre dar se magar aap mehrbāñ guzre
jidhar bhī aap ga.e bas ga.e haiñ vīrāne
ujaḌ ga.e haiñ chaman ham jahāñ jahāñ guzre
hameñ miTāne kī gar koshisheñ tamām huiiñ
to ye bhī kahiye ki ham kitne saḳht-jāñ guzre
vo sub.h-o-shām kī rañgīniyāñ tamām huiiñ
sa.ūbatoñ kī kaḌī dhuup hai jahāñ guzre
vo apne dāman-e-pāra pe bhī nigāh kare
jahāñ meñ mujh pe uThā kar jo uñgliyāñ guzre
hayāt-o-maut kā hal kar chuke haiñ har uqda
ab ham ko ḳhauf nahīñ laakh imtihāñ guzre
'anīs' aap ko dekhā hai har ghaḌī masrūf
kabhī to chain se do-chār din miyāñ guzre