Anees Ahmad Anees

shisha hi chahiye na mai-e-arghawan mujhe

Anees Ahmad Anees

Ghazipur, Uttar pradesh, India

1940
shīsha hī chāhiye na mai-e-arġhavāñ mujhe
be-māñge jo mile vahī kaafī hai haañ mujhe
ai shoḳhī-e-nigāh zarā ehtiyāt rakh
is bazm meñ hai pās-e-hadīs-e-butāñ mujhe
yārab mire gunāh kyā aur ehtisāb kyā
kuchh dī nahīñ hai ḳhizr sī umr-e-ravāñ mujhe
chuntā thā rāh-e-zīst ke ḳhāroñ ko maiñ hanūz
hai sab abas ajal ne kahā nā-gahāñ mujhe
lagtā hai ik hujūm meñ gum hai mirā vajūd
Dastī haiñ phir bhī kis liye tanhā.iyāñ mujhe
un ke liye haiñ atlas-o-kamḳhvāb ke sarīr
tan Dhāñkne ko kaafī haiñ kuchh dhajjiyāñ mujhe
kyā kyā sitam zamāne ke maiñ sah gayā 'anīs'
marne ke ba.ad yaad karoge miyāñ mujhe
Top Urdushayar.com