tire gesuoñ ke saa.e meñ jo ek pal rahā huuñ
abhī tak hai yaad mujh ko abhī tak bahal rahā huuñ
maiñ vo riñd-e-nau nahīñ huuñ jo zarā sī pī ke bahkūñ
abhī aur aur saaqī ki maiñ phir sambhal rahā huuñ
nahīñ ġham na mil sakegī mujhe shaiḳh terī jannat
mujhe aarzū nahīñ hai na maiñ haath mal rahā huuñ
jo na mere kaam aa.e jo na merī baat maane
maiñ vo dil badal rahā huuñ maiñ vo dil badal rahā huuñ
mujhe jāda-e-talab meñ rah-e-pur-ḳhatar kā kyā ġham
ki qadam jidhar uThe haiñ usī samt chal rahā huuñ
jo girā to phir uThūñgā ki javāñ hai azm merā
mujhe tum na do sahārā maiñ agar phisal rahā huuñ
vo dabā ke merā dāman vo jhukā ke un kī nazreñ
nahīñ bhūltā ye kahnā abhī maiñ bhī chal rahā huuñ