ab ġham kā koī ġham na ḳhushī kī ḳhushī mujhe
āḳhir ko raas aa hī ga.ī zindagī mujhe
vo qatl kar ke mujh ko pashemāñ hue to kyā
lauTā sakeñge phir na mirī zindagī mujhe
saare jahāñ meñ hotī hai amn-o-amāñ kī baat
lekin nazar na aa.ī kahīñ āshtī mujhe
neza uThā.e phirtī hai har raah meñ qazā
har moḌ par hirās milī zindagī mujhe
maiñ ghūñT ghūñT jaam se bahlā.ūñ jī ko kyā
be-ḳhauf kaash kar hī de tishna-labī mujhe
ik lazzat-e-gunāh thī kyā lazzat-e-gunāh
tā-umr raas aa.ī na phir bandagī mujhe
kuchh aarzū nahīñ ki farishta banūñ 'anīs'
kaafī hai haañ jo log kaheñ aadmī mujhe