firāq-e-yār meñ kuchh kahiye samjhāyā nahīñ jaatā
dil-e-vahshī kisī sūrat se bahlāyā nahīñ jaatā
hamīñ ne chun liye phūloñ ke badle ḳhaar dāman meñ
faqat gulchīñ ke sar ilzām Thahrāyā nahīñ jaatā
sar-e-bāzār rusvā ho ga.e kyā ham na kahte the
kisī saudā.ī ke muñh is qadar aayā nahīñ jaatā
garebāñ thaam leñge ḳhaar to mushkil bahut hogī
gulāboñ kī ravish par itnā iThlāyā nahīñ jaatā
mahak jā.egī merī ḳhāmushī bhī bū-e-gul ho kar
nidā-e-haq ko qaid-o-band meñ laayā nahīñ jaatā
udhar vo ahd-o-paimān-e-vafā kī baat karte haiñ
idhar mashq-e-sitam bhī tark farmāyā nahīñ jaatā
'anīs' uTTho na.ī fikroñ se rāheñ zau-fishāñ kar lo
ma.āl-e-laġhzish-e-māzī pe pachhtāyā nahīñ jaatā