sau bātoñ kī baat hai pyāre vo jo zaat meñ hotī hai
har insān kī izzat us ke apne haat meñ hotī hai
koī ajab sā pahlū hai jo dil meñ ghar kar jaatā hai
koī alag sī baat hai jo us kī har baat meñ hotī hai
us kī yaad bhī us kī tarah ulTe vaqtoñ aatī hai
shaam Dhale tak duur rahe aur paas vo raat meñ hotī hai
kisī se jhūTe va.ade karnā dhokā denā hotā hai
ġhalatī to vo hai merī jaañ jo jazbāt meñ hotī hai
'zehrā-zaidī' aap use āḳhir kyuuñ maan nahīñ letīñ
ishq to rahmat hai aur rahmat kab ḳhairāt meñ hotī hai