dikhā ai nāḳhun-e-ġham lutf-e-bāham aise sāmāñ par
garebāñ kā ho muñh dāman pe dāman kā garebāñ par
vo so.e ho ke be-parda yahāñ kis kis tamannā se
magar sadqe havā ke raat bhar ro.e daraḳhshāñ par
tumhāre dast-e-nāzuk ne jo kiiñ aThkheliyāñ us se
utar aayā garebāñ muskurā kar pā-e-dāmāñ par
sikhāyā chashm ko kyā ātish-e-ġham ne dam-e-girya
har ik aañsū banā hai aabla dāmān-e-mizhgāñ par
jigar meñ kis maze se chuTkiyāñ letā hai chhup-chhup kar
gumān-e-shāhid-e-pahlū hai mujh ko dard-e-pinhāñ par
maiñ vo shaidā-e-gesū huuñ ki aksar mausam-e-gul meñ
mirā pā-e-nazar paḌtā hai zanjīr-e-gulistāñ par
vo bulbul huuñ ġhazal-ḳhvān ai 'shagufta' bāġh-e-ālam meñ
garāñ hotā nahīñ merā suḳhan tab-e-suḳhan-dāñ par