Munshi Khairati Laal Shagufta

nim-jaan hun zindagi dud-e-charagh-e-kushta hai

Munshi Khairati Laal Shagufta

nīm-jāñ huuñ zindagī dūd-e-charāġh-e-kushta hai
merī hastī sūrat-e-būd-e-charāġh-e-kushta hai
go huuñ muflis par huuñ apnī tīra-baḳhtī se namī
mere ghar meñ daulat-e-sūd-e-charāġh-e-kushta hai
ho nahīñ saktā siyah-kārī se maiñ raushan-zamīr
dil mirā ik zarf ma.asūd-e-charāġh-e-kushta hai
dekh kar parvānoñ ke par sub.h ko sābit huā
ye bahār-e-gulshan jūd-e-charāġh-e-kushta hai
ai 'shagufta' mujh ko piirī meñ ye misra.a yaad hai
buud apnī vahm-e-nā-būd-e-charāġh-e-kushta hai
Top Urdushayar.com