Munshi Khairati Laal Shagufta

gar talli par hai wahm-e-imtihan-e-mai-farosh

Munshi Khairati Laal Shagufta

gar ta.allī par hai vahm-e-imtihān-e-mai-farosh
be-nishāñ ho kar nikāleñge nishān-e-mai-farosh
sajde karte haiñ ḳhum-e-mai ko vufūr-e-nashshā meñ
sūrat mīnā-e-mai maddāh shān-e-mai-farosh
jām-o-mīnā-o-surāhī-o-subū se be-gumāñ
sāqī-e-mushfiq pe hotā hai gumān-e-mai-farosh
bhaTTiyoñ par jā ke pūchheñge bahār aane to do
ālam-e-mastī meñ mastoñ se bayān-e-mai-farosh
shīsha-o-jām-o-surāhī-o-subū kyā maal haiñ
baḳhsh deñge josh-e-mastī meñ dukān-e-mai-farosh
mai-kade meñ duḳht-e-raz ko lā biThā.eñge zarūr
pahlū-e-mīnā-e-dil meñ mehmān-e-mai-farosh
jaam āñkheñ haiñ to baada ashk hai shīsha hai dil
dekh o mai-nosh maiñ bhī huuñ labān-e-mai-e-farosh
kis qadar chamkā huā hai bāda-e-gulgūñ kā daur
ek aalam āj-kal hai mehmān-e-mai-farosh
maiñ bhī huuñ ik sāqī-e-mai-nosh tere daur meñ
kafsh-bardār-e-sharīk-e-ḳhādinmān-e-mai-farosh
ḳhum ke ḳhum kar duuñ tahī dam-bhar meñ vo mai-nosh huuñ
ai 'shagufta' haath aa.e gar dukān-e-mai-farosh
Top Urdushayar.com