zamīñ kahīñ hai mirī aur āsmān kahīñ
bhaTak rahā huuñ ḳhalāoñ ke darmiyān kahīñ
mirā junūñ hī mirā āḳhirī ta.āruf hai
maiñ chhoḌ aayā huuñ apnā har ik nishān kahīñ
isī liye maiñ rivāyat se munharif na huā
ki chhoḌ de na mujhe merā ḳhāndān kahīñ
likhī ga.ī hai mirī fard-e-jurm aur jagah
liye ga.e haiñ gavāhān ke bayān kahīñ
havā-e-tund se laḌnā mirī jibillat hai
Dubo hī de na mujhe ye mirī uḌaan kahīñ
dil-e-hazīñ kā ajab haal hai mohabbat meñ
koī ġhazab hī na Dhā de ye nā-tavān kahīñ
maiñ dāstān-e-mohabbat ise sunā aayā
kahīñ kā zikr thā lekin kiyā bayān kahīñ
havā-e-shahr tujhe raas hī nahīñ 'āsif'
misāl-e-qais tū sahrā meñ ḳhaak chhān kahīñ