ek yūsuf ke ḳharīdār hue haiñ ham log
phir mohabbat meñ giraftār hue haiñ ham log
chashm-e-rañgīñ kī karāmāt se ghāyal ho kar
terī ulfat ke talabgār hue haiñ ham log
shahr-e-ḳhūbāñ kī rivāyāt se shorish kar ke
ġham-e-hijrāñ ke sazā-vār hue haiñ ham log
zindagī tū ne hameñ dard ke aañsū baḳhshe
phir bhī tere hī taraf-dār hue haiñ ham log
sub.h-e-ālām kā chehra nahīñ dekhā jaatā
ḳhvāb-e-ḳhush-rañg se bedār hue haiñ ham log
manzil-e-ishq bhī ham ko hī milī hai 'āsif'
dasht-o-sahrā meñ agar ḳhvār hue haiñ ham log