Asif Shafi

jahan-e-husn-o-nazar se kinara karna hai

Asif Shafi

Dahranwala, Punjab, Pakistan

1973
jahān-e-husn-o-nazar se kināra karnā hai
vajūd-e-shab ko mujhe isti.āra karnā hai
mire darīcha-e-dil meñ Thahar na jaa.e kahīñ
vo ek ḳhvāb ki jis ko sitāra karnā hai
tamām shahr añdheroñ meñ Duub jā.egā
havā ko ek hī us ne ishāra karnā hai
ye qurbatoñ ke haiñ lamhe inheñ ġhanīmat jaan
inhī dinoñ ko to ham ne pukārā karnā hai
vo dostoñ ko batā.egā pyaar kā qissa
aur us ne zikr bahut kam hamārā karnā hai
mirī nigāh meñ jachtā nahīñ koī 'āsif'
visāl-e-yār ko hāsil dobāra karnā hai
Top Urdushayar.com