dil meñ vafā kī hai talab lab pe savāl bhī nahīñ
ham haiñ hisār-e-dard meñ us ko ḳhayāl bhī nahīñ
vo jo anā parast hai maiñ bhī vafā parast huuñ
us kī misāl bhī nahīñ merī misāl bhī nahīñ
ahd-e-visāl-e-yār kī tujh meñ nihāñ haiñ dhaḌkaneñ
mauja-e-ḳhūn-e-ehtiyāt ḳhud ko uchhāl bhī nahīñ
tum ko zabān de chuke dil kā jahān de chuke
ahd-e-vafā ko toḌ deñ apnī majāl bhī nahīñ
us se kaho ki do ghaḌī ham se vo aa mile kabhī
maanā ye hai muhāl par itnā muhāl bhī nahīñ