Asif Shafi

jamal-e-yar ko taswir karne wale the

Asif Shafi

Dahranwala, Punjab, Pakistan

1973
jamāl-e-yār ko tasvīr karne vaale the
ham ek ḳhvāb kī ta.abīr karne vaale the
shab-e-visāl vo lamhe gañvā diye ham ne
jo dard-e-hijr ko iksīr karne vaale the
kahīñ se TuuT gayā silsila ḳhayāloñ kā
ka.ī mahal abhī ta.amīr karne vaale the
aur ek din mujhe us shahr se nikalnā paḌā
jahāñ sabhī mirī tauqīr karne vaale the
hamārī dar-badarī par kise ta.ajjub hai
ham aise log hī taqsīr karne vaale the
jo lamhe biit ga.e haiñ tirī mohabbat meñ
vo lauh-e-vaqt par tahrīr karne vaale the
charāġh le ke unheñ DhūñDhiye zamāne meñ
jo log ishq kī tauqīr karne vaale the
vahī charāġh vafā kā bujhā ga.e 'āsif'
jo shahr-e-ḳhvāb kī ta.amīr karne vaale the
Top Urdushayar.com