kār-e-duniyā se ga.e dīda-e-bedār ke saath
rabt lāzim thā magar nargis-e-bīmār ke saath
qīmat-e-shauq baḌhī ek hī inkār ke saath
vāqi.a kuchh to huā chashm-e-ḳharīdār ke saath
har koī jaan bachāne ke liye dauḌ paḌā
kaun thā āḳhir-e-dam qāfila-sālār ke saath
maiñ tire ḳhvāb se aage bhī nikal saktā huuñ
dekh mujh ko na parakh vaqt kī raftār ke saath
zulm se haath uThānā nahīñ aatā hai agar
kuchh ri.āyat hī karo apne giraftār ke saath
qīmat-e-husn-o-adā jaan kī baazī Thahrī
log aa.e the vahāñ dirham-o-dīnār ke saath
had se baḌh kar bhī taġhāful nahīñ achchhā hotā
kuchh ta.alluq bhī to rakhte haiñ parastār ke saath