Asif Shafi

umr sari teri chahat mein bitani paD jae

Asif Shafi

Dahranwala, Punjab, Pakistan

1973
umr saarī tirī chāhat meñ bitānī paḌ jaa.e
ye bhī mumkin hai ki ye aag bujhānī paḌ jaa.e
merī is ḳhāna-badoshī kā sabab pūchhte ho
apnī dīvār agar tum ko girānī paḌ jaa.e
mere a.adā se kaho had se tajāvuz na kareñ
ye na ho mujh ko bhī shamshīr uThānī paḌ jaa.e
kyā tamāshā ho agar vaqt ke sultān ko bhī
dar-e-insāf kī zanjīr hilānī paḌ jaa.e
kaash phir mujh se vo pūchheñ mirī vahshat kā sabab
kaash phir mujh ko vo tasvīr dikhānī paḌ jaa.e
dasht se shahr meñ kuchh soch ke aanā 'āsif'
zindagī bhar kī riyāzat pe na paanī paḌ jaa.e
Top Urdushayar.com