maiñ suntā rahtā huuñ naġhme kamāl ke andar
ka.ī sadā.eñ parindoñ meñ Daal ke andar
jo vāhime mirā andar ujaaḌ sakte haiñ
maiñ rakh rahā huuñ unheñ bhī sambhāl ke andar
tamām mas.ale nauiyat-e-savāl ke haiñ
javāb hote haiñ saare savāl ke andar
jagah jagah pe koī to hazār-hā nashtar
utārtā hai rag-e-ehtimāl ke andar
tarah tarah ke gulāb ātishīñ salāḳh ke saath
nikāl laatā huuñ sūrāḳh Daal ke andar
ye silsila zarā mauqūf ho to dekhūñgā
ḳhayāl aur haiñ kitne ḳhayāl ke andar
taḌapte rahte haiñ dil ke navāh meñ 'jāved'
bahut se azhdahe jībheñ nikāl ke andar