Rauf Khalish

silsile ye kaise hain TuT kar nahin milte

Rauf Khalish

Hyderabad, Telangana, India

1941
silsile ye kaise haiñ TuuT kar nahīñ milte
jo bichhaḌ ga.e lamhe umr-bhar nahīñ milte
shor karte rahte haiñ jism-o-jāñ ke sannāTe
jab tavīl rāhoñ meñ ham-safar nahīñ milte
dhuup kī tamāzat se jo bachāo kar paate
sūrajoñ ke shahroñ meñ vo shajar nahīñ milte
chāhatoñ bhare kamre dil khule khulā āñgan
ab to DhūñDne par bhī aise ghar nahīñ milte
sab ne har zarūrat se kar rakhā hai samjhautā
log milte rahte haiñ dil magar nahīñ milte
vaqt ne to bastī kī shakl hī badal dī hai
jin pe raunaqeñ thiiñ vo bām-o-dar nahīñ milte
apne naf-o-nuqsāñ kā sab hisāb rakhte haiñ
ham se milne vaale bhī be-ḳhabar nahīñ milte
in dinoñ 'ḳhalish' aksar manzaroñ ke vo tevar
ajnabī dayāroñ kī ḳhaak par nahīñ milte
Top Urdushayar.com