Rauf Khalish

umud ho ke ufuq mein badal rahe hain sutun

Rauf Khalish

Hyderabad, Telangana, India

1941
umuud ho ke ufuq meñ badal rahe haiñ sutūn
dahal rahī hai imārat pighal rahe haiñ sutūn
binā hī khokhlī Thahrī to kyā urūj-o-zavāl
shikastagī kī alāmat meñ Dhal rahe haiñ sutūn
chhateñ to gir ga.iiñ shahtīr kī ḳharābī se
ye kis kā bojh uThā.e sambhal rahe haiñ sutūn
havā ke ruḳh ne nayā marsiya likhā hai jahāñ
bhaḌak uThī hai vahīñ aag jal rahe haiñ sutūn
nidā hai kaisī zamīñ ai zamīñ ḳhabar to le
ki band kamroñ kā sab raaz ugal rahe haiñ sutūn
badalte lamhoñ ko ginte hue haiñ istāda
nazar kā zāviya kahtā hai chal rahe haiñ sutūn
Top Urdushayar.com