riit tanhā.ī fāsla sahrā
kaun sī bhuuk de gayā sahrā
us kī āñkhoñ meñ boltī nadiyāñ
mere kānoñ meñ gūñjtā sahrā
badliyoñ ne laTeñ nichoḌī thiiñ
pyāsā pyāsā magar rahā sahrā
sabz shādābiyoñ ke badle meñ
kaun qismat meñ likh gayā sahrā
bain kartī havā muqayyad hai
shahr-e-mātam hai zaat kā sahrā