Rauf Khalish

kitni sadiyon se lamhon ka loban jalta raha

Rauf Khalish

Hyderabad, Telangana, India

1941
kitnī sadiyoñ se lamhoñ kā lobān jaltā rahā
umr kā silsila saañs ban kar pighaltā rahā
nāptā rah gayā mauj se mauj kā fāsla
vaqt kā tez dariyā samundar meñ Dhaltā rahā
be-nishāñ manzileñ kis safar kī kahānī likhūñ
thak ga.ī soch har moḌ par zehn jaltā rahā
ajnabī rāstoñ kī taraf yuuñ na baḌhte qadam
gard ban kar ka.ī mere ham-rāh chaltā rahā
rut badalte hī dil meñ na.ī Tiis paidā huī
zahr-ālūd mausam meñ ik dard paltā rahā
gyaan kī aañch ne kar diyā masḳh merā vajūd
yā maiñ bargad ke saa.e meñ ḳhud ko badaltā rahā
dā.ere se nikal kar bhī maiñ dā.ere meñ thā qaid
phuul zaḳhmoñ ke chuntā rahā haath maltā rahā
Top Urdushayar.com