Jauhar Zahiri

husn ki shama ka hun parwana

Jauhar Zahiri

Delhi, India

1924
husn kī sham.a kā huuñ parvāna
ḳhalq kahtī hai mujh ko dīvāna
naqsh-e-pā par ga.e kiye sajde
kis qadar hosh meñ thā dīvāna
hosh jaate raheñge jaane do
tum sunoge hamārā afsāna
terī mahfil se uTh ke jaate haiñ
ab basā.eñge koī vīrāna
jis ne rakkhā qadam mohabbat meñ
aql se ho gayā vo begāna
terī āñkhoñ ke kaif se saaqī
raqs meñ hai tamām mai-ḳhāna
bāda-e-ġham ne bhar diyā 'jauhar'
zindagānī kā merī paimāna
Top Urdushayar.com