kuchh aisī kaifiyat se sāqī-e-mastāna aatā hai
ki jaise rañg chhalkātā huā paimāna aatā hai
kuchh aise bhī haiñ jo mahfil meñ tishna-kām rahte haiñ
nigāh-e-lutf haTtī hai agar paimāna aatā hai
ye kis kī shakl āñkheñ band karte hī nazar aa.ī
ye kis kā naam lab par ḳhud paye afsāna aatā hai
use ham bhuul jaa.eñ ham ne chāhā hai bahut lekin
ḳhayāl aatā hai akasr aur bebākāna aatā hai
mujhe is be-ḳhudī par bhī dil-e-marhūm ai 'jauhar'
bahut yaad aatā hai jab daur meñ paimāna aatā hai