Jauhar Zahiri

tujh mein kab husn-e-bahaar-e-gul ki ranai na thi

Jauhar Zahiri

Delhi, India

1924
tujh meñ kab husn-e-bahār-e-gul kī ra.anā.ī na thī
kab tire jalvoñ kī ik duniyā tamāshā.ī na thī
zindagī bhar aarzū kā ḳhuun hī hotā rahā
lab pe lekin ek din bhī aah tak aa.ī na thī
ishq hai ik ātish-e-dil-soz meñ jalne kā naam
ham ko to roz-e-azal ye baat samjhā.ī na thī
ham rahe haiñ manziloñ hī manziloñ meñ umr bhar
jaise qismat meñ kisī pahlū shakebā.ī na thī
ik chaman kyā do jahāñ kī āfatoñ se duur thā
ġhuncha-e-nauras ke lab tak jab hañsī aa.ī na thī
kyā kahūñ 'jauhar' jo mere jān-o-dil par ban ga.ī
maut kā paiġhām thā ik shām-e-tanhā.ī na thī
Top Urdushayar.com