Jauhar Zahiri

sameT kar tere jalwon ki raushni maine

Jauhar Zahiri

Delhi, India

1924
sameT kar tire jalvoñ kī raushnī maiñ ne
dil-o-nigāh kī duniyā sañvār lī maiñ ne
mizāj-e-husn kisī taur se badal na sakā
gavārā samjhā ġham-e-nā-gavār bhī maiñ ne
tamām saḳhtiyāñ rāh-e-talab kī sahl huiiñ
tumhāre naam kī tasbīh jab paḌhī maiñ ne
tumhārā ishq huā hai ka.ī ġhamoñ kā sabab
ki ik jahāñ kī ḳharīdī hai dushmanī maiñ ne
nuqūsh-e-pā pe jabīñ ain be-ḳhudī meñ rahī
bhulā.e kab bhalā ādāb-e-āshiqī maiñ ne
ye kaun de gayā mujh ko sukūn-e-qalb-o-nazar
ye kis kā naam liyā thā abhī abhī maiñ ne
mirī hayāt-e-do-rozā kā kyā burī ki bhalī
guzārnī paḌī 'jauhar' guzār dī maiñ ne
Top Urdushayar.com