Jauhar Zahiri

tujh mein kab husn-e-bahaar-e-gul ki ranai na thi

Jauhar Zahiri

Delhi, India

1924
tujh meñ kab husn-e-bahār-e-gul kī ra.anā.ī na thī
kab tire jalvoñ kī ik duniyā tamāshā.ī na thī
zindagī-bhar aarzū kā ḳhuun hī hotā rahā
lab pe lekin ek din bhī aah tak aa.ī na thī
ye ġhalat hai merā sajda vaj.h-e-rusvā.ī huā
rashk-e-mehrāb-e-haram kab terī añgḌā.ī na thī
ishq hai ik ātish-e-dil-soz meñ jalne kā naam
ham ko to roz-e-azal ye baat samjhā.ī na thī
ham rahe haiñ manziloñ hī manziloñ meñ umr-bhar
jaise qismat meñ kisī pahlū shakebā.ī na thī
ik chaman kyā do-jahāñ kī āfatoñ se duur thā
ġhuncha-e-nauras ke lab tak jab hañsī aa.ī na thī
kyā kahūñ 'jauhar' jo mere jān-o-dil par ban ga.ī
maut kā paiġhām thā ik shām-e-tanhā.ī na thī
Top Urdushayar.com