sabr-o-sukūñ kahāñ hai tire intizār meñ
dil iḳhtiyār meñ na nazar iḳhtiyār meñ
furqat kī baat tak bhī gavāra na thī jise
taare vo gin rahā hai shab-e-intizār meñ
allāh re ye bāda-e-rañgīñ kī shoḳhiyāñ
zāhid ko piinī paḌ ga.ī ab kī bahār meñ
yād-e-jamāl-e-dost ke qurbān jā.iye
taskīn pā rahā huuñ dil-e-be-qarār meñ
jab tum ho mere paas ḳhizāñ bhī bahār hai
tum hī nahīñ to kaise lage dil bahār meñ
'jauhar' vo aaj aa.e haiñ thāme hue jigar
kitnā asar hai nāla-e-be-iḳhtiyār meñ