Jauhar Zahiri

aaya nahin wo jaur ka KHugar tamam raat

Jauhar Zahiri

Delhi, India

1924
aayā nahīñ vo jaur kā ḳhūgar tamām raat
taḌpā kiyā mirā dil-e-muztar tamām raat
niiñd us ke husn-e-ruḳh ke tasavvur meñ aa.ī thī
dekhā hai barq-e-tūr kā manzar tamām raat
ye raaz mujh pe sham.a ke anjām se khulā
kaTtī hai hijr-e-yār meñ kyūñkar tamām raat
ai ham-nafas na pūchh shab-e-hijr kā azaab
āñkhoñ meñ kāTnī paḌī akasr tamām raat
ik ham na un kī yaad meñ jhapkā sake palak
ik vo ki mahv-e-bāda-o-sāġhar tamām raat
vaqt-e-sahar ye jaanā ki jaage haiñ ham magar
sotā rahā hamārā muqaddar tamām raat
sīñchā hai āñsuoñ se bahut naḳhl-e-ārzū
lekin samar na aa sakā 'jauhar' tamām raat
Top Urdushayar.com