ruḳh hī badal diyā hai ġham-e-rozgār kā
ye hausla hai kis ke dil-e-be-qarār kā
ai bāġhbāñ na phuul ko chuTkī se yuuñ masal
yaad aa.egā bahut hī zamāna bahār kā
ai mere ishq tū hī batā kyā javāb duuñ
vo haal pūchhte haiñ dil-e-be-qarār kā
ham ne tumhāre ishq meñ vo daaġh khaa.e haiñ
siine kā daaġh daaġh hai dāman bahār kā
terā jamāl-e-husn ki merā junūn-e-ishq
afsāne ko na baḳhsh de unvān daar kā
dar par nigāh haath garebāñ pe dam-ba-ḳhud
maiñ ik mujassama huuñ tire intizār kā
misl-e-kalīm husn se chashmak nahīñ pasand
ham jānte haiñ jiit meñ pahlū hai haar kā
kab us ke naqsh-e-pā pe na merī jabīñ jhukī
'jauhar' rahā hai mujh pe karam kirdgār kā