Jauhar Zahiri

husn se rasm-o-rah hone do

Jauhar Zahiri

Delhi, India

1924
husn se rasm-o-rāh hone do
zindagī ko tabāh hone do
us kī rahmat kī raah hone do
fard-e-isyāñ siyāh hone do
manzil-e-husn ḳhud qadam legī
ishq ko rad-ba-rāh hone do
us kī rahmat kā aasrā hai mujhe
mujh se sarzad gunāh hone do
charḳh par bijliyāñ sī taḌpeñgī
un ko garm nigāh hone do
merā zimma agar davā na bane
dard ko be-panāh hone do
fitrat-e-ishq hai yahī 'jauhar'
dīn-o-duniyā tabāh hone do
Top Urdushayar.com