ba-fart-e-shauq har gul meñ tire ruḳh kī ziyā samjhe
agar chaTkā koī ġhuncha to ham terī sadā samjhe
hameñ dekho ki kab ham ne binā-e-āshiyāñ Daalī
muḳhālif apne jab saare gulistāñ kī fazā samjhe
bil-āḳhir aaj merā zabt-e-ulfat rañg le aayā
mujhe hī jāñnisār-e-ishq-o-jāñbāz-e-vafā samjhe
hamāre paas aayā hai mo.attar jab koī jhoñkā
use ham be-takalluf tere dāman kī havā samjhe
hameñ le aayā is manzil meñ tere ishq kā jazba
ki ham har ek zarra maz.har-e-shān-e-ḳhudā samjhe
samajh se duur hai jāñ-dādgān-e-ishq kī manzil
fanā kī god meñ sarmāya-e-rāz-e-baqā samjhe
na hogā koī ham sā rahrav-e-rāh-e-vafā 'jauhar'
ham is manzil kī har aafat ko sāmān-e-baqā samjhe