ab dard-e-mohabbat ko ai dil minnat-kash-e-darmāñ kaun kare
ḳhud apne hī hāthoñ ulfat kā barbād gulistāñ kaun kare
jab yaad kisī kī aatī hai ik barq sī lahrā jaatī hai
jab ham hī dard ke ḳhvāhāñ hoñ phir dard kā darmāñ kaun kare
is shān-e-taġhāful par āḳhir jī chhūT gayā dil TuuT gayā
jab dil hī hamārā TuuT chukā phir aap ko mehmāñ kaun kare
jab barq-e-tapāñ lahrā lahrā añgḌā.ī falak par letī ho
us vaqt nasheman kaise bane taz.īn-e-gulistāñ kaun kare
ab tark-e-sitam ke kyā ma.anī har roz nayā gul khilne do
do-chār daraḳhshāñ dāġhoñ se dil rashk-e-gulistāñ kaun kare
maqsūd hai qadr-o-qīmat bhī zebā.ish-e-husn-e-ḳhūbāñ kī
har ḳhuun ke aañsū ko lekin ab la.al-e-badaḳhshāñ kaun kare
ab yaas kā aalam taarī hai ye raat bhī ham par bhārī hai
ai 'jauhar' us ke va.adoñ par ab ziist kā sāmāñ kaun kare