agar dil ishq ke anvār se ma.amūr ho jaa.e
to phir ye zarra ḳhud rashk-e-charāġh-e-tūr ho jaa.e
tum apne jalva-e-nauḳhez par yuuñ naaz karte ho
agar merā dil-e-ḳhuddār bhī maġhrūr ho jaa.e
faqat is raaz ko ahl-e-mohabbat hī samajhte haiñ
mayassar aa.e jitnā qurb itnā duur ho jaa.e
mujhe ye zid ki un ke rū-e-zebā se naqāb uTThe
unheñ ye zid ki jalva aur bhī mastūr ho jaa.e
vo mere dil ke gulshan meñ agar aa jaa.e ai 'jauhar'
to har ik nā-shagufta ġhuncha rañg-o-nūr ho jaa.e