rāste ziist ke dushvār nazar aate haiñ
log ulfat se bhī bezār nazar aate haiñ
jis ko dekho vo ḳharīdār huā hai un kā
har taraf misr ke bāzār nazar aate haiñ
bal hai abrū pe nazar tez ḳhudā ḳhair kare
aaj kuchh hashr ke āsār nazar aate haiñ
manzil-e-ishq kī rāheñ haiñ bahut hī dushvār
har qadam par na.e āzār nazar aate haiñ
kyā kahūñ ik tire jalve ke muqābil ai dost
chashm-o-dil donoñ hī bekār nazar aate haiñ
yaad aa jaate haiñ vo jab bhī hameñ ai 'jauhar'
har taraf matla-e-anvār nazar aate haiñ