Jauhar Zahiri

haya-e-ruh gul-eazaz bhi hai

Jauhar Zahiri

Delhi, India

1924
hayā-e-rūh gul-e.azāz bhī hai
shu.ūr-e-zindagī kā raaz bhī hai
mohabbat rāz-andar-rāz bhī hai
kahīñ ye soz bhī hai saaz bhī hai
use kaise na dil de duuñ ki jis meñ
vafā bhī husn bhī andāz bhī hai
rah-e-ishq-o-vafā meñ zindagānī
tarāna bhī hai soz-o-sāz bhī hai
mohabbat meñ na dekh anjām ai dil
ye ik be-intihā āġhāz bhī hai
tabassum hī nahīñ ġhārat-gar-e-dil
balā-e-jāñ ḳhirām-e-nāz bhī hai
dil-e-'jauhar' hai ik āshiq kī duniyā
ki ye pāmāl-e-husn-o-nāz bhī hai
Top Urdushayar.com