ravā-ravī meñ guloñ kī bahār kyā dekheñ
chaman chaman hai ḳhizāñ darkinār kyā dekheñ
navā-e-soz-e-fuġhāñ sho.ala-bār kyā dekheñ
jahān-e-husn meñ ik ḳhalfashār kyā dekheñ
har ek rañg meñ ye markaz-e-ham-o-ġham hai
ma.āl-e-hastī-e-nā-pā.edār kyā dekheñ
vo log jo ki ma.āl-e-chaman se vāqif haiñ
ḳhizāñ-nasīb guloñ kī bahār kyā dekheñ
vo chaar tinke nasheman ke kyā bache hoñge
chaman pe barq girī laakh baar kyā dekheñ
nazar fareb hai 'jauhar' ye kārobār-e-jahāñ
faroġh-e-māh o gul-e-mushk-bār kyā dekheñ