rahrav se sarokār na manzil kī ḳhabar hai
dīvāna-e-ulfat hai ki sargarm-e-safar hai
vaañ chaah nahīñ miltī hai yaañ chain nahīñ hai
taskīn-e-dil-e-zār idhar hai na udhar hai
zarre haiñ ki garmā.e hue nuur ke taare
ik barq-e-tapāñ hai ki tirī rāhguzar hai
ek ek adā hosh-talab dushman-e-īmāñ
vo yūsuf-e-sānī ba-ḳhudā rashk-e-qamar hai
aa mere jahāñ meñ mirī duniyā kī tamannā
ab merī murādoñ kā jahāñ zer-o-zabar hai
gum-gashta-e-manzil huuñ mohabbat meñ kuchh aisā
bikhrā huā shīrāza-e-taskīn-e-nazar hai
'jauhar' ye ġham-e-rāh ye dushvārī-e-manzil
kahtā hai mirā dil ki qayāmat kā safar hai