Farooq Argali

wo KHud KHabar hai magar apni kuchh KHabar bhi nahin

Farooq Argali

Fatehpur, Uttar pradesh, India

1940
vo ḳhud ḳhabar hai magar apnī kuchh ḳhabar bhī nahīñ
sitam-zarīf ko ehsās-e-ḳhair-o-shar bhī nahīñ
yahāñ to sab ko ijāzat hai aane jaane kī
hamārā dil to vo ghar hai ki jis meñ dar hī nahīñ
ḳhabar yahī thī ki vo bad-dimāġh hai shāyad
jo jā ke dekhā ki kāñdhe pe us ke sar bhī nahīñ
bahār DhūñDne nikle the kis jagah pahuñche
kahāñ ke phuul kahāñ phal yahāñ shajar bhī nahīñ
jahāñ kā dard chhupā lete vā-e-majbūrī
hamāre paas jo hotā thā vo jigar bhī nahīñ
faqīr-e-ishq ko chāhat kī bhiik kyā miltī
ki shahr-e-zar meñ saḳhī-dātā ik bashar bhī nahīñ
Top Urdushayar.com