urūj-e-ādam-e-ḳhākī kahāñ kā qissa hai
mahz darāzī-e-kār-e-jahāñ kā qissa hai
siyāh raat thī neza-ba-kaf kamā-bar-dosh
tulū-e-sub.h luTe kārvāñ kā qissa hai
husūl-e-māl-e-ġhanīmat kī dāstān-e-latīf
dar-asl vādī-e-āh-o-fuġhāñ kā qissa hai
ġhanīm-e-hirs-o-havas ham-kanār-e-fat.h-o-zafar
zarūr ye mire hindostān kā qissa hai
vo rañg-o-nūr kā dariyā vo husn-o-hosh-rubā
nahīñ kuchh aur ye urdu zabāñ kā qissa hai