luTe jaate haiñ lekin ġham nahīñ hai
ab is aalam meñ vo aalam nahīñ hai
tamannā.eñ salīboñ par sajī haiñ
sar-e-pindār phir bhī ḳham nahīñ hai
qayāmat-ḳhez hai jādū-bayānī
magar bātoñ meñ us ke dam nahīñ
bahāreñ aur ḳhizā.eñ sab usī kī
mirā apnā koī mausam nahīñ hai
agar milte to shāyad ḳhush na rahte
bichhaḌne kā bhī ab mātam nahīñ hai
baḌā.ī banda-parvar ko mubārak
faqīr-e-urdu bhī kuchh kam nahīñ hai