millateñ jab jāda-e-haq se gurezāñ ho ga.iiñ
jaane kitnī bastiyāñ shahr-e-ḳhamoshāñ ho ga.ī
pastiyāñ panjoñ ke bal uchhlī to qīmat baḌh ga.iiñ
azmateñ bāzār meñ pahuñchīñ to arzāñ ho ga.iiñ
zabt-e-ġham kā ye tamāsha bhī kisī din dekhnā
āñdhiyāñ tinkoñ se Takrā kar pashemāñ ho ga.iiñ
izzat-o-nāmūs ke da.ave fasāna ban ga.iiñ
ismateñ jab ḳhud bharī mahfil meñ uryāñ ho ga.iiñ
be-hisī ḳhud-ġharziyāñ ayyāriyāñ makr-o-fareb
āj-kal ye ḳhūbiyāñ izzat kā sāmāñ ho ga.iiñ
aap to ḳhāmosh rah kar bhī bahut kuchh kah ga.e
ranjisheñ jo dil pe thiiñ ruḳh par numāyāñ ho ga.iiñ
vo bhī kyā din the ki jab āzād the zehn-o-zamīr
ab to in bātoñ ke guzre jaise sadiyāñ ho ga.iiñ