Sirajuddin Zafar

hum aahuwan-e-shab ka bharam kholte rahe

Sirajuddin Zafar

Jhelum, Punjab, Pakistan

1912-1972
ham āhuvān-e-shab kā bharam kholte rahe
mīzān-e-dilbarī pe unheñ tolte rahe
aks-e-jamāl-e-yār bhī kyā thā ki der tak
ā.īne qumriyoñ kī tarah bolte rahe
kyā kyā thā hall-e-mas.ala-e-zindagī meñ lutf
jaise kisī kā band-e-qabā kholte rahe
pūchho na kuchh ki ham se ġhazālān-e-bazm-e-shab
kis shahr-e-dilbarī kī zabāñ bolte rahe
kal shab thā zikr-e-hūr bhī zikr-e-butāñ ke saath
zohd-o-safā idhar se udhar Dolte rahe
apnā bhī vazn kar na sake log aur ham
rūh-e-varā-e-rūh ko bhī tolte rahe
sarmāya-e-adab thī hamārī ġhazal 'zafar'
ash.ār-e-naġhz the ki guhar rolte rahe
Top Urdushayar.com